Bhukamp ka matlab hota hai earthquake, ek prakritik aapda hai jo khud se aata hai yeh prithvi ki satah ke neeche ki gatividhiyon jab (stress) jama hota hai to tapman bahut hi badh jata hai.
Yeh ek aisa aapda hai jo samay bata ke nhi aata hai kisi bhi time as sakta hai aur koi bhi jagah aa sakta hai pure prithvi par. Bhukamp ke karan har sal bahut logo ki maut hoti hai aur bhukamp ke karan dharti ke kayi sare bhag hil jate hai isey kafi bhari nuksan ka samna karna padta hain.
Bhukamp kis kis Karan se aate hai
Bhukamp kaise aata hai, yeh bahut logo ke man me sawal aata hai lekin yeh ek aisa prakriya hai jab zameen(land) ke andar ka hissa jisko lithosphere kehte hai aur yeh bahut mota hai kai sare layer layer me bata rehta hai isi ke karan jab uske andar stress utpan hota hai aur jo sare layer strees ke baze se takrate hai to bhukamp ka sambhavna banta hai.
Yeh energy ground ke andar se nikal kar surface tak aata hai tab jaake bhukamp ka sambhavna banta hai, jisse ground building, Sadak, Ghar sab hile lagta hai isey infrastructure ko bhaut jyada hi nuksaan ka samna uthana padta hai.
Bhukamp jab ek bar aajata hai to usko seismic waves ke roop me measure Kiya jata hai ki bhukamp phir se na aajaye aur yeh seismic waves ground ke andar travel karti hai , jab yeh ground tak pahuchta hai to bhukamp ka sambhavna ban jata hai aur zameen hilne lagta hai.
Types of Earthquake

- Tectonic Earthquake: Tectonic bhukamp bahut hi khatarnak bhukamp hai jo plate tectonics ki gatividhiyon ke karan aate hain aur isme sabhi layer ke andar bahut hi stress utpan hota hai aur sabhi plates ek dusre ko takra kar bhukamp ka sambhavna banta hai
- Volconic Earthquake: yeh Jwalamukhi bhukamp woh bhukamp hain jo jwalamukhi phekta hai aur yeh bata ke nhi aata hai lekin iske sabse achi bat hai ki yeh garm jagah par sirf aata hai jaise ki America, Russia, china, Japan, har jagah nhi aur yeh bhi gatividhiyon ke karan hi aate hain jab zameen ka andar stress jyada lagta hain.
Bhukamp Ke Lakshan
- zameen hilna : Bhukamp se pehle government ke taraf se hamare mobile par notification aajata hai, aur yeh notification dekhte hi khule area me Jane ki koshish kare aur dusre ko bhi surakshit kare kyu ki ustime aap Ghar me rahenge to Ghar girne se apki mrityu hojayegi.
- Kampan ka ahsas: Bhukamp aane se pehle prithvi ki satah par kampan bhi aate hain.
- Bhukamp ka ahsas: Bhukamp ke samay prithvi ki satah par dhwani ka Sanket hame pehle hi mil jata hai bahut sare jagah par aur dhwani ka Sanket sunte hi hame khule area me pahuch Jana chahiye.
Bhukamp Se Bachne ka tarika
- Bhukamp Ki Taiyari kaise kare: Bhukamp se pehle apke mobile me pehle hi notification aajata hai government ke taraf se isliye mobile hamesha active rakhe, samay rehte apne ghar se bahar likale ka koshish kare khali jagha par aur khud ko aur dusre ko surakshit karein.
- Bhukamp se pehle suchna deke satark karna: Bhukamp ki suchna hame government ke taraf se kabhi kabhi 1-2 din pehle hi satark kar diya jata hai ki yeh area apke liye surakshit nhi hai aap log kuch din ke liye yeh jagah chor ke dusre jagah par chale jaye aur yeh suchna prapt karne se aap bhukamp ke samay surakshit rah sakte hain.
- Bhukamp se pehle ki karwahi: Bhukamp ke samay ki karwahi bahut hi jaruri rehte hai kyu ki bahut logo ke zindagi ka sawal rehta hai aur samay rehte sabko bata ke us area se dur kiya jata hai ki koi vyakti ki jaan na jaye bhukamp ke dwara isi prakriya ke madat se logo ko ek Khali area me leke Jaya jata hai aur unko safety diya jata hain.

Bhukamp Ki Taiyari Kaise Karein?
- Bhukamp Ki Yojana ka hissa bane: bhukamp sabse jyada pahadi(mountain) area me hi aata hai to hamara pehla yojana yahi rehta hai ki jo log pahadi area me rehte hai unko ek surakshit area me leke jana aur yojana banane se aap log bhukamp ke samay pure taraf surakshit rah sakte hain.
- Bhukamp Ki Suchna ka intezar kare : Bhukamp ki suchna prapt karne se aap bhukamp ke samay pure tarah se surakshit rah sakte hain, lekin jab bhukamp ka sambhavna ban jata hai to apko suchna se pehle hi ghar se bahar rehne ka koshish karna chahiye, aur apne sath sabko surakshit rakhe.
Leave a Reply