Akal mrityu ke baad: kya hota hai ?

Akal mrityu ka matlab hai ki kisi vyakti ki maut uske jeevan kal se pehle agar hojati hai to uska akal mrityu kehte hai.mrityu ke baad hamara aatma kaha jata hai yeh kisi ko nhi pata lekin, yeh ek aisa sawal hai jo har insaan ke deemag me kabhi na kabhi sochne par majboor jarur karta hai.

Akal mrityu jab kabhi koi suicide, murder, accident agar achanak hojati hai ya koi bimari se agar mrityu hojati hai to usko hi akal mrityu kehte hai. lekin is sawal ka jawab dene ke liye, humein kuch dharmik ko padhna padega aur us concept ko samajna hoga.

Dharmik Drishtikon

Sabhi dharmo me Vibhinn dharmik paramparao ko mana jata hai , akal mrityu ke baad aatma ke bare mein alag-alag vichar hain.Yahaan kuch pramukh dharmik drishtikon ko diye gaye hain:

  1. Hindu Dharm: Hindu dharm ke anusar, mrityu jeevan se pehle hi fix rehta hai aur aatma ko amar mana jata hai. Akal mrityu ke baad, aatma ko moksha ya punarjanam mein se ek anubhav hota hai. geeta me kaha gaya hai ki aatma amar hai, sirf sarir badalta hai aur aatma ka milan paramatma ke saath ho jata hai , jabki mrityu ke bad jab phir se purnajanam mein ek naye sarir mein janam lena padta hain.
  2. Bauddh Dharm: Bauddh dharm mein karm aur purnajanam par zor diya gaya hai aur aatma ko anitya mana gaya hai. Akal mrityu ke baad, aatma ko punarjanam mein se ek ka anubhav hota hai isme purnjanam se koi matlab nhi rehta hai. Bauddh dharm mein, akal mrityu ke piche karmon ka parinam mana jata hai, jahaan aatma ko koi dukh ya klesh hota hain.
  3. Islam Dharm: Islam dharm mein mana jata hai ki mrityu Allah ke marzi se hota hai aur mrityu ko koi bhi tal nhi sakta hai isme bhi aatma ko amar mana jata hai. Akal mrityu ke baad, aatma ko qayamat mein se ek naya ka anubhav hota hai aur isme bhi mana jata hai ki mrityu karmon ke parinam par hota hai. Islam dharm me aatma ko apne karmo ke anusaar jahannam ya swarg diya jata hai jo Allah ke raste par chalta hai usey swarg milte hai aur jo nhi chalta raste par usey jahannam milta hain.
  4. Christian Dharm: Christian dharm mein, akal mrityu ke anusar aatma ko ek naya jeevan me pravesh milta hai amar mana jata hai. Akal mrityu ke baad, aatma ko swarg ya jahannam mein se ek ka anubhav hota hai. Swarg mein, aatma ko paramatma ke saath ek ho jata hai, jabki jahannam mein, aatma ko paramatma se alag kiya jata hai.

Adhyatmik Drishtikon

Adhyatmik drishtikon se aatma ko ek amar aur avinashi entiti mana gaya hai. Akal mrityu ke baad aatma ko parmatma se milne me samay lagta hai lekin apne karmo ke anusaar swarg ya narak pehle dikhaya jata hai uske bad ek naye sharir mein janam milta hai, Kuch jaruri adhyatmik concept hain:

  1. Punarjanam: Punarjanam ka matlab hai ki jab apka mrityu hojati hai aur apke karmo ka fal jab apko mil jata hai usi karmon par apka naya Janam aur Naya sarir milta hai. Punarjanam mein, aatma ko apne pichhle janam ke sabhi pap aur karm ke hisab se hi apko janam milta .
  2. Moksha: Moksha ka matalab hai ki aatma ko jab paramatma se milan hota hai , agar apke karm ache honge to jaldi apko parmatma se milan hoga agar karm sahi nhi rahega to apko pehle jahannam dikhaya jayega phir parmatma se milan hoga. Moksha mein, aatma ko koi dukh ya klesh nahin hota.
  3. Nirvana: Nirvana ka matlab hai ki aatma ko kabhi kaisa bhi klesh ya dukh nahin hota. Nirvana mein, aatma ko paramatma se bahut jaldi milan hojata hain agar apke karm jyada ache rahenge to aatma ko parmatma se milan hojayega.

Parinam

Akal Mrityu ka parinam yehi hota hai ki agar vyakti apne jeevan ke lakshya ko pura kiye bina agar uski mrityu hojati hai samay se pehle chahe kisi bimari, accident, murder, suicide kisi bhi karan se hojata hai, aur wah lakshya jab tak apka pura nhi hota tab tak apko aatma ko parmatma se milan nhi hoga. Yeh ek aisa sawal tha jo sabhi ke man me ghumta hai ki agar kisi ka akal mrityu hojata hai to uska kya hota hai.

Sarthak Granth: sabka grantho me akal mrityu ke bare me alag alag bataya gaya hai agar aap Janna chahte hai to yeh sabhi granth ke bare me padhe phir apko pata chalega ki aatma ko parmatma se milne me kitne muskil hoti hai, aur yeh granth sabhi dharmo ka alag alag rai batata hai app ek bar jarur padhe specially ( Bhagwan Gita)

  • “Bhagavad Gita”
  • “Upanishad”
  • “Bauddh Sutra”
  • “Quran”
  • “Bible”

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *